Sunday, December 31, 2017

Nahi Karta

Tumhe laga main pyaar karta hu tumse,
pagal, main toh sirf dhayan rakh raha tha tumhara,
pyaar toh abhi shuru he nahi kiya tha.

Kya kabhi tumhare haath pakad ke,
aakho main aakhe daal ke,
apne dil kal haal sunaya tumhe,
Nahi na, kyuki pyaar toh abhi kiya he nahi tha.

Jab tum gussa ya pareshan hoti thi,
Toh kya tumhare charey ko hathoo main leke,
tumhare hoton pe ungli rakh ke chup karaya tumhe,
Nahi na, kyuki pyaar toh abhi kiya he nahi tha.

Jab tum mujhe se ladti,
toh kya tumhe jor se gale lagaya,
Nahi na, kyuki pyaar toh abhi kiya he nahi tha.

Bas dhayan rakhta tha tumhara,
achi lagti thi tumhari khushi,
aur tum usse pyaar samaj baithi.

Tha to, pyaar tha toh.
Par shayad dimaag kuch aisa jaal bun chuka tha,
ki mere dil ko yakin dila chuka tha,
ki ye bas kuch lamho ka hai.

aur tumhare dil ko chu ke, usse chodde du,
itni himat nahi thi,
isliye bas dhayan rakhta tha.

No comments: